Mar 24, 2023

Youtube video me background music kaise lgaye | Power Director me music editing kaise kare

   Dosto ager aap ek youtube creator ho or aap video me background music add karna chahte ho to yeh aap bahoot aasani se kar sakte ho apni kisi bhi video editing application ke through. 


To aj es post me main appko btaunga aap kaise apni video ke background me music add kare? Sath me dosto power director me music editing kaise kare kon kon c options aapko milti hai power director me music editing se related wo bhi aap jaanoge es post me.


Video ke background me music add kaise kare.

      Dosto niche me aapko ek video share kar raha hun jisme maine sab kuchh puri details me btaya hai kaise video ke background me music add kare power director me. To video aap pura jarur dekhe.




Apr 16, 2020

How to use color filters in kinemaster | Color adjustment kaise kare | kinemaster best tips

Dosto ager ap kinemaster me video editing karte ho to ap ko aaj btaunga kinemaster me color filter use kaise kare sath me hi ager apko color adjustment karna hai colors ko or bright karna hai to video me colors adjustment kaise kare wo bhi yaaha me apko btaunga to pura pade es article ko.

How to use color filters in kinemaster?



Es video me maine bahoot hi achhe se btaya hai kaise colors filters ko use kare. Ager ap apni videos ke liye or bhi achhe achhe color filters ko use karna chahte ho. Videos ke colores unte achhe nhi dikh rahe dark se colors aa rahe hai to video me color adjustment kaise kare to bhi btaya hai video ko ap pura jarur dekhe.


Apr 11, 2020

How to add video effects by kinemaster | how to hide video part in kinemaster | video editing tips

Doato ager ap apni videos kuchh khas special effects use karna chahte ho ager ap video me blur effect use karna chahte ho or ap kinemaster effect option ko uae kaise kare janna chahte ho to yeh article apke liye hai pura dekhe.


        Video ko acha dikhane ke liye ap video effects use kar sakte hai kinemaster apko bahoot saare effect deta hai jisse ap apni video ko acha bna sakte ho sunder bna sakte ho. Video me effect use kaise kare ?


How to add effects on video?



Dosto video me maine btaya hai kinemaster me video effect ko use kaise kare. Jo bhi options apko kinemaster me milti hai wo saari maine es video me btai hai. Video effect ko kaise use kare wo bhi esme maine btaya hai. To video ko ap pura dekhe.

Apr 10, 2020

Video se audio ko kaise bnaye | Power Director me video ko audio me convert kaise kare


Dosto ager ap apne kisi bhi video se audio ko alag karna chahte ho  to aj me apko btaunga video ko audio me kaise badle? Maan lijiye ager apko koi music pasand aata hai kisi video me lekin apko wo music kisi bhi website me nhi milta hai to ap us video se hi  music ko nikal sakte ho. Power directo me video  ko audio me convert kaise kare eske baare me batane wala hu. To ap es article ko pura jarur pade.

Power Director me Video ko audio me kaise banaye?




Dosto es video me maine btaya hai ap kaise kisi bhi video ko audio me convert kare. Video ke ander jo tarika maine btaya hai power director me video se audio kaise banaye wo bahoot hi aasan hai or usse ap apni video editing ke liye kahi se bhi kisi bhi video se music nikal sakte ho. Or apni video ke audio ko alg kar sakte ho.

Apr 9, 2020

How to add transition in kinemaster | how to add animations by kinemaster



Dosto kinemaster me video editing karte hai to ap apni video ko trim karte honge or ager ap apni videos ko or  achha bnana chahate ho attractive dikhana chahate ho to aj ki es me main apko batunga ap apni videos me transition effect kaise lagaye.  

  Transition effect kya hote hai?

Dosto ja ap kisi bhi video ko split karte ho yah 2 clips ke bich me jo  timing hoti hai usko transition bolte hai. Ager ap koi bhi transition use nhi karte to wo normally ek jarak ke sath video play hota hai lekin ap transition effect use karte ho to video softly pass ho jayega or dekhne me bhi achha lagega.


How to add transition effect in kinemaster?



Dosto es video me maine btaya hai kaise ap apni video me transition effect kaise lagaye. Sath me hi apko kon kon si or options milti hai jab ap transition effect ko use karte ho. To video ko pura dekhe apko samjh aa jayega  kinemaster me transition kaise use kar.

How to trim video in kinemaster | How to split video in kinemaster | video editing in kinemaster


Dosto ager ap video ko edit kar rahe ho kinemaster app me to apko apni video me se non important parts ko hatana padta hai or yeh bahoot jaruri hota video ko or achha bnane ke liye to aj hum bat karne wale hai kinemaster me video ko trim kaise kare? Ager ap video me kahi pe bhi cuts lgana chahate ho yah ap kuchh bhi add karna chahate ho to apko kinemaster me video ko split kaise kare yeh bhi aana jaruri hai. To ajj ap es post ko pura pade apko me jaari chije btane wala hun.

How to trim and split video in kinemaster?




Dosto es video me maine apko saari chije btai hai kaise video ko trim kare kaise video split kare to ap es video ko pura dekhe apko achhe se samjh aa jayega kinemaster me video trim kaise kare. 

Apr 8, 2020

Basic features in kinemaster | How to use kinemaster app| Best video editing app


Dosto ager ap phone me ek best video editing app dhundh rahe hai to apko kinemaster app jarur use karni chahiye apke bahoot kaam aane wali app hai or Android phone me best video editing app hai. Es app me diye gaye sabhi features apko ek achhe software jitne hi achhe or important features milte hai. Kinemaster app ko use kaise kare yeh es  post me main apko btane wala hun kuchh khas features ki baat aaj hum karenge.

How to use kinemaster app?




Dosto ap es video ko pura dekhe apko esse achhe se samjh aa jayega kaise ap apni videos ko edit kar sakte hai kinemaster app me. Apko kinemaster ke basic features kon kon se hai kaise ap kinemaster ke basic features ko use karenge. Sab kuchh es video me hai to pura jarur dekhe.

Apr 5, 2020

Video ko kam MB me kaise banaye | How to save video in smaller size | Best power director tips

Dosto ager ap power director me video ko edit karte ho or apko video store karne me problem ho rahi hai yah file ka size jada hone ki vajaha se upload karne me dikat ho rahi hai to ajj me apko btaunga power director me kam size me video save kaise kare.  

Ager ap janna chahte ho power director me video ka size kam kaise kare kam mb me video ko save kaise kare to aj me es post me apko eske baare me puri jaankari dene wala hun post ko pura jarur pade.

How to save video in smaller size on power director?



Video ko kam MB me kaise banaye es video me eske baare me achhe se btaya hai. Ager apko video ke bade file size se problem hoti hai to es setting ko use karke ap chhote size me video save kar sakte hai.

Apr 4, 2020

Power director sound editing kaise kare | Audio mixing in power director | Power director tips


Dosto ager ap power director me video editing karte ho or apko audio editing karni hai to yaaha me apko esi ke baare me btane wala hun power director me sound ko edit kaise kare. Jaane ke liye ap es post ko pura pade.

How to edit sound in power director?



Dosto es video me maine achhe se btaya hai power director me audio edit kaise kare. Dosto ease to apko kuchh khas option to nhi milti hai audio editing ke liye power director me likin apko jo option milti hai uske baare me video me maine btya hai ap video ko pura jarur dekhe.

Apr 3, 2020

How to add Hindi text on Power Director | Hindi me kaise likhe | Power director Tips

Dosto aj me apko btaunga power director me hindi me kaise likhe? Ager ap power director me video edit kar karhe hai to video me text add bhi karne padenge  or ager apko video me Hindi text add karne hai to uski option apko power director me nhi milti to kaise hindi text likhe power director me to uske baare me yaha apko btane wala hun.


Power director me hindi text add kaise kare?



Dosto es video me maine btaya hai kaise hindi text likhe to ap es video ko pura jarur dekhe apko achhe se samjh aa jayega power director me hindi text kaise likhe.

Apr 2, 2020

खराब हुऐ video ओर sound को ठीक कैसे करे | Corrupted video or sound ko thik kaise kare | How to convert video to audio


Doston aj me apko btane wala hun kharab video or audio ko thik kaise kare. Jb hum kisi video ko record karte hai to kai bar esa hota hai video ka sound corrupte ho jata hai to ap usko thik kar sakte hai kaise corrupted video or audio ko thik kare jaanne ke liye post ko pura pade.


How to recover corrupted video or audio?



Dosto es video me maine power director me corrupted video ko thik kaise kare eske baare me btaya hai to es video ko pura dekhe bahoot kaam ki video hai apke liye.

Mar 31, 2020

Photos ko mix karke video kaise bnaye | जानिए कैसे photos के साथ video बनती है | video editing tips


Dosto aaj me apko btane wala hun photos ko mix karke video kaise bnaye.  Yah pe me apko photos ke sath video kaise banaye ye me power director application me btane wala hun lakin ap kisi bhi video editing application me photos ko mix karke video bna sakte hai. Dosto ager ap bhi photos ko mix kar ke video create karna chahte ho to article ko pura dekhe.

How to create video with photos?



Dosto es video me maine btaya hai kaise photos ko mix karke video bnaye to es video ko pura dekhe apko achhe se samjh aa jayega. Jo bhi tips and trick for photo mix video ke liye chahiye wo video me hai. Maine power director ko use kiha hai likin yeh ap kisi bhi video editing apps me kar sakte hai.

Mar 29, 2020

How to edit video in slow motion and fast motion in power director | power director tips



Dosto aaj ki es video me main btane wala hun how to edit video in slow motion and fast motion in power director. Ager ap video editing karte hai power director me to ap kisi bhi video ko slow motion me edit kaise kare or kisi bhi video ko fast motion me edit kaise kare uske baare me btaya hai to video ko pura jarur dekhe puri jaankari esme apko milegi.

How to edite video  with slow motion and fast motion effect?



Dosto video ko fast or slow motion me edit kaise kare yeh es video me maine completely btaya hai jo bhi features power director apko deta hai uske baare me btya hai puri jaankari ke liye video ko pura dekhe apko achhe se samjh aa jayega kaise video ko slow or fast motion me edit kare.

Power director me stickers use kaise kare | How to use GIF stickers in video by power director


Doston aap apni videos ke andar GIF Sticker ko use karna chahte ho ya fir stickers ko use karna chahte ho apni videos me to aaj hum baat karenge esi topic ke upar Kaise power director me stickers ko use Kare. GIF stickers ko kaise use kare to post ko  aap pura jarur pade aapko main yahan per complete bataunga how to use stickers in powder director?

Power director me stickers use kaise kare?



Dosto es video me maine btaya hai power director me stickers kaise use kare. Ager ap apni videos me GIF sticker use karna chahte ho to apko free GIF sticker milte hai ap unko use kar sakte hai to eske baare me bhi video me btaya hai how to use GIF stickers in power director. Video ko pura dekhe or  apko samjh aa jayega video me stickers ko use kaise kare.

Mar 28, 2020

Video me animated text kaise lgaye | how to add text in power director

Dosto ap ager apni videos ke ander text use karna chahte hai ap apni video ke ander animated text use karna chahte hai to aaj me apko esi ke baare me btane wala hun power director me text add kaise kare?


How to add text in video by power director?



Video me maine btaya hai  power director me text add kaise kare to es video ko ap pura dekho apko achhe se samjh aa jayega kaise text add kare kon se feature yaha apko milte hai.

Mar 27, 2020

How to use chroma key in power director | video background remove kaise kare

Doato ager ap apni kisi bhi video ka background remove karna chahte ho to aj me apko btaunga power director me video ka background remove kaise kare? 


Video ka background remove kaise kare?

 Dosto ager ap kisi video ka background remove karna chahte ho to apko apni video ke background me green screen ka use karna padega yaah fir blue screen. Ager ap apni videos ke background me green screen use karte ho to ap kisi bhi achhe video editing app se video  background remove kar sakte ho. Jiskeliye apko ek feature milta hai chroma key.


How to use chroma key in power director?



Doato ager ap apni video background remove karna chahte ho to apko power director me ek feature milta hai jiska naam hai chroma key yeh feature apko kisi bhi achhe video editing apps me mil jayega or es chroma key ko use kar ke  video background remove kar sakte ho to video me maine eske baare me btaya hai video ko ap pura dekhe apko samjh aa jayega chroma key use kaise kare?

Mar 26, 2020

How to add music and sound effects in videos by power director | free music and sound effect



Dosto ager ap  power director me music or sound effect use karna chahte hai to aaj hum esi ke baare me baat karne wale hai. Kaise power director me music add kare or  sath me hi free sound effects kaise use kare wo bhi yaah batane wala hun.


How to add music and sound effect in video by power director?



Yaha maine es video me btaya hai video me music kaise add kare or sound effects kaise use kare to ap es video pura dekhe bahoot saari jaankari esse apko mil jayegi. Sath me hi kuchh khas best tips bhi video me hai to video pura dekhna.

Mar 24, 2020

How to add video effects in power director | Power director video effects



             Dosto aaj hum janenge kaise power director me video effect kaise lagaye jate hai. Ager ap  power director me videos edite karte ho to yeh post apke liye bahoot jaruri hai.

More Helpful video for you.
1. Basic features of power director.
2. Power director me voice over kaise kare.
3. How to add transitions in video by power director.

4. How to use filters in video by power director.

How to add video effect on power director app?




Dosto power director video editing me apko text me to nhi dikha sakta kaise ap karenge to ap es video ko pura dekho esme maine btaya hai ap apni videos me effect kaise lagaye in power director.

Dec 24, 2019

How to get first 1000 subscribers and 4000 hours watch time faster | Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster


Dosto ager ap ek new youtuber hai or ap jaldi se chennel pe 1000 subscribers or 4000 hours watch time  pure karna chahte hai to aj me apko kuchh esi best tips btane wala hun jisse ap apne channel pe 1000 subscriber or 4000 hours watch time jaldi se pure kar sakte hai or apne channel ko grow kar sakte hai. Ap jis bhi topics pe videos bnate ho jo bhi content ap create karte ho usko ap YouTube pe rank kra sakte hai or ap apne channel ko monetize kara sate ho YouTube se paise kma sakte ho. Puri jankari ke liye ap es post ko pura pade or achhe se apne channel me implement kare tabhi ap apne channel me 1000 subscribers or 4000 ghante ka watch time jaldi se pura kar sakte ho.
How to get 1000 subscribers and 4000 hour's watch time faster


How to get first 1000 subscriber & 4000 hours watch time faster?


1. Upload Informative videos.

          Ap video kisi bhi topic pe bna rahe ho chahe technology se related ho yaah fir vlogs ho, bikes, cars ho to us topic ke baare me ap puri tarha se apni video me btaye. Ap jis topic pe video bna rahe ho to uske baare me apki audience ko achhe se pata lagna chahiye kisi ko koi bhi confustion  nahi rehena chahiye. Jo ap apni video me bta rahe ho  wo ager ap achhe se sabhi tek pahuncha pa rahe ho or sabhi ko achhe se samjh aa raha hai to apke channel ko log subscribe karenge or apki videos ko pura dekhenge. Jisse ap apne channel ko jaldi se monetize bhi kar payenge.


2. Ask people for Like, Comment & Share.

       Ager ap apni videos ko informative bna rahe ho or logo ko apki videos pasand aa rahi hai to logo ko apko batana padega ki ager unko apki video achhi lage to like kare, share kare or comments bhi kare. Jab log apki video pe like larenge, share karenge or comments karenge to apki video pe audience retention badega or jinta jada audience retention apki video pe badega apki video utni hi jada suggestions me jayegi, search me jayegi or apko achhe view milenge or achhe subscriber milenge. To apko apni video ke last me starting me yaah fir bich me like, share or comments karne ko jarur bolna hai.


3. Focse On Organic Traffic.

         Ager apko apne channel ko jaldi se grow karna hai to apko focse karna padega apni audience pe. Apko jo audience mil rahi hai wo audience kaha se mil rahi hai? Ager apko external sources se traffic aa raha hai to apko organic traffic pe focse karna hai. Organic traffic kya hota hai? Orgnice traffic use bolte hai jo apko youtube se mile. Jo audience apko YouTube ke kisi bhi feature ke through mil rahi hai usko organic traffic kehte hai. Or ager apko apna channel jaldi se grow karna hai to focse on organic traffic. Esme bhi apko YouTube search or browse feature ke uper focse karna hai. Ense hi apko acha traffic milega or ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai

4. Make videos Regular with good title and tags.

         Channel ko jaldi se grow karna hai 4000 ghante ka watch time or 1000 subscriber pure karne hai to apko regular videos dalni chahiye. Tabhi log apke channel pe videos dekhenge or channel ko subscribe karenge. Eske sath apko intresting content bhi bnana padega log ager apke channel ke content se bor honge to wo sirf apne fayede ki videos dekhenge baki videos ko nhi dekhenge jisse apko achhe views nhi milenge to apko videos intresting bhi bnani padegi. Jo bhi video ap bnaye usko acha sa title de or jitne bhi tgas apko usse related lagte hai wo sare description me likhe or tags me likhe esse apki video search or suggestions me jayegi or apko achhe view or subscriber milenge.

5. Ask people for  Subscribe Channel.
       Apne acha se informative video bnai, regular video upload bhi kar rahe ho, log like, share or comments bhi kar rahe hai or apko acha organic traffic bhi mil raha hai lekin subscriber nhi bad rahe hai to ease me apko apni audience ko bolna padega ki wo apke channel ko subscribe kare. Video ke last me, starting me yaah fir bich me kahi bhi ap bolo lekin logo ko btao ki wo apke channel ko subscribe kare. Esse apke channel pe subscribers jaldi se bad jayenge.


Doato ye thi Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster. Ager ap enko follow karte hai to ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai. Ager ap apne channel ko or jaldi grwo karna chahte hai to apko or jada mehanat karni padegi. Apki videos kaisa perform kar rahi hai kin tags pe apko traffic mil raha hai, kis type ki videos me views mil rahe hai, watch time kaha se kitna aa raha hai apko her chij dekhni padegi, samjhni padegi fir ap or bhi jaldi apne channel ko grow kar payenge. 1000 subscribers or 4000 hours watch time complete kaise pure kare yeh maine apko bta diya apna experience maine apko btaya hai  apko bahoot kaam aayengi yeh tips jarur follow kare.

Yeh post apko kaisi lagi mujhe jarur btaye. Kya esse apko kuchh help mili? Comment karke jarur btaye.

Sep 4, 2019

Creator Studio Classic (Youtube New update 2019) how to open creator studio classic

                       Agr ap ek youtuber hai to apko bta de ki ab apko YouTube creator studio nahi dekhane ko  milega. Kyoun nhi dekhne ko milega to uske baare me jaanne ke liye apko es post ko pura padna padega to pura  pade, or es post ko share kare taki sabhi ko  eske baare me pta chal sake. Sath me main apko btaunga kaise ap apne youtube channel pe YouTube creator studio classic ko opne kaise kare?
Youtube latest updates

New youtube updates2019.

                       YouTube bahoot sare update leker aata rehta hai jisse Youtube ko jaada improve kar sake to pichhle saal hi youtube ne YouTube studio beta ko introduces  kiya tha or bahoot saare update esme leker aaya jisse youtubers ko bahoot help mil rahi hai or ab YouTube ne ek latest update me bataya hai ki es sall ke end tek Creator studio classic band ho jayega. Ab apko Youtube Studio beta ko use karna padeyga. Ager apko abhi bhi option milti hai creator studio classic ko use karne ki  to bahoot hi jaldi apki yeh option hat jayegi bahoot saare logo ki yeh option hat chuki hai or unko youtube studio use karna pad raha hai to aane wale time me apko b karna padega.
               Ager apko YouTube studio use karna nhi aa raha to mere youtube channel me apko eske regarding puri  play list milegi jisse ap wahan se sikh sakte hai YouTube studio beta ko use kaise kare?

How to open creator studio classic?

               Ager ap creator studio classic  ko opne karna chahte hai to ap kisi link ke through open kar sakte hai ager apko option milti hai. To yaha me apko ek link de deta hun jisse ap  Creator studio classic ko open kar sakte hai.

Watch my all videos on YouTube regarding YouTube studio beta. Un videos ko dekh ke apko kuchh help mil jayegi or ap sikh sakte hai YouTube studio ko use karna.